Article Ke Highlights -
Army Group Insurance Fund (AGIF), jo ki Army Group Insurance (AGI) ke under aata hai, serving army personnel ko direct home loan deti hai. Iske alava, AGIF ne public aur private banks se bhi tie-up kiya hua hai aur unke through bhi loans disburse kiye jaate hain.
Iss article mein hum AGIF se directly diye jaane waale Home Loan ke baare mein baat karenge.
AGIF loans kya hote hain?
Currently, AGIF, apne members ko House Building Advance deti hai jab vo active Army Service mein hote hain, aur yeh loan unhe retirement date tak repay karna hota hai. Agar aap retirement ke kareeb hai aur loan lena chahte hain, to aapka EMI, due to reduced tenure, badh jata hai jo unki monthly repayment capacity se adhik ho jata hai. Aise cases mein, external banks remaining amount ko prevalent interest rates par fund karte hain. AGIF loans army personnel ke credentials ke aadhar par sanction kiye jate hain. Loan amount salary, khareedne ja rahe ghar ki value, aur applicant ko available subsidies ke hisab se calculate kiya jata hai. AGIF home loan home repairs ko finance karne ke liye bhi use kiya ja sakta hai.
AGIF Home Loan interest rate 2023 (click here for latest interest rates)
AGIF loans ke rate of Interest rank ke hisab se alag-alag hai.
Home Loan Limits:
AGIF loans ki limit rank ke hisab se alag-alag hai.
Documents required for AGIF home loans
AGIF home loan ke liye required documentation kisi bhi regular loan jaisi hoti hai. Required documents mein shamil hain-
How to apply for AGIF home loan?
Follow karne ke liye steps yeh hain:
AGIF home loans Eligibility Criteria
Army personnel ko allocated ki jaane wali AGIF home loan amount kuch factors par depend karti hai, jaise ki applicant ka rank, service duration, aur credit history, etc. Applicant ko minimum two years tak Indian Army ki service karni chahiye. Retired aur re-employed PBOR/Officers eligible nahi hai.
Ustad Ke Observation:
Conclusion - Agar aap eligibility criteria meet kar rahe hai to zaroor AGIF se home loan sanction karvaye lekin disbursment ke liye thoda extra time le kar chale. Apne builder ko clearly bata de ki aap AGIF se loan le rahe hai aur aapko extra time chahiye.
Jai Hind!