Sahi ITR form select karna bahut zaroori hai kyunki yeh aapke tax liability ko affect karta hai aur tax returns mein mistakes ko prevent karta hai. Agar galat form bhara jaye toh aapka return reject ho sakta hai ya notice bhi mil sakta hai.
Har ek ITR form alag-alag types ki income aur personal situations ke liye banaya gaya hai. Isliye, apne income sources ko accurately samajhna aur uske according sahi ITR form ka selection karna, tax planning ka ek essential part hai. Yeh unnecessary penalties se bachata hai aur tax filing process ko asaan bana deta hai.
Kaun sa ITR form mere liye sahi hai? Niche diye gaye table ko refer kare.
ITR Form | Kaun File Kar Sakta Hai? | Income Sources |
ITR-1 | 1. Individual Indian citizen jinka total income ₹50 lakh tak hain. 2. NRI ITR-1 file nahi kar sakta. | 1. Salary 2. Rental income from one house property 3. Agricultural Income up-to 5000 |
ITR-2 | 1. Individual or HUF (Hindu Undivided Family) jinka business ya profession ke alava any other source of income hai 2. NRIs ko ITR-2 file karna hai 3. Agar app kisi company ke Director hai. 4. Agar aap unlisted company (jo stock market main listed nahi hai), unka share hold karte hai. | Apart from Above 1. Agricultural Income more than 5000 2. Capital Gain 3. Lottery 4. Online games 5. Income from Crypto Currancy 6.Foreign Income/Foreign Asset/ 7. Carry Forward Losses (Loss from house, business, capital gain etc) |
P.S: Humne keval ITR 1 or ITR 2 ke details diya hai kyuki most of the Fauji inhi dono category main fall karta hai.
Jai Hind!
ITR file karo befikr udChalo ke saath (Authorised by Income Tax Department)