Category | Tuition fees | Computer fund | VVN (Vidya Vikas Nidhi) contribution |
Girl students jo class I se XII tak padh rahi hain |
Maaf kiya gaya hai |
Maaf nhi kiya gaya hai |
Maaf nhi kiya gaya hai |
SC/ST students | |||
KVS employees ke bacche | |||
Sena aur Paramilitary ke adhikari aur jawan jo 1962, 1965, 1971, aur 1999 ke hostilities mein shaheed ya viklang ho gaye,unke bacche, saath hi Bharatiya Shanti Sena (IPKF) Sri Lanka mein aur Siachen mein "Operation Meghdoot" aur Kargil mein "Operation Vijay" ke dauraan shaheed ya viklang huye sena ke jawan ke bacche. |
Maaf kiya gaya hai
| ||
Tuition fees, VVN, aur computer fund mein chhoot sena aur para military ke un bacchon ko bhi milti hai jinke parents Bharat ya bahar kisi counter insurgency operation mein shaheed hue, gayab ho gaye ya hamesha ke liye viklang ho gaye hain. Ye suvidha tabhi milegi jab bacche sarkar ke mantralaya se mila hua certificate dikha sake. | Maaf kiya gaya hai | ||
Jo parents garibi rekha se neeche jeewan jee rahe hain aur unke paas BPL card hai, unke do bacchon tak ko yeh suvidha di jaati hai. | Maaf nhi kiya gaya hai | ||
Viklang students ke liye yeh suvidha di gayi hai. Ye KVS ke patra (No.F125-19/2007-08/KVS (Budget) dt. 15.10.2009) mein diye gaye niyamon ke anusaar hai. | |||
Jo girl students class VI se XII tak padh rahi hain aur unke parents ki ek hi santan hain (VVN aur computer fund se exemption 01.01.2006 se shuru ki gayi hai). | Maaf kiya gaya hai | ||
Students ko Emergency Madad | Ek academic session ke liye VVN se exemption di ja sakti hai. |
Notes:
1. Upar bataye gaye different fees se exemption ab Govt. employees ke bacchon ko nahi di jayegi (Kendriya Vidyalaya Sangathan ke employees bhi shamil hain) kyunki unhe unke departments se reimbursement mil raha hai.
2. Project sector ke antargat aane wale Kendriya Vidyalayas ko apni alag fee structure banane ki anumati hai, jo KVS ke patra (No. 6-1/91-KVS (Budget) dt. 11.11.1999) ke anusaar hai.
3. Kendriya Vidyalaya ke liye Education Code ke Article 123-124 mein shaamil provisions ko fee chhoot ke liye pehle se jyada vistaar se lagu kiya jayega.
Jai Hind!